Tuesday, June 13, 2017

Best video editing apps for android 2017 #Hindi/Urdu

Hey guys whatsapp



best video editing app for Android 2017 Hindi/Urdu



Aaj hum log video editing ke best software ke baare me baat karne wale hai jo hamare android/tablet me achhe se chale 😊

Ye Sab Janne Se Pahele Me Aapko Batana Chahta Hu Ki Ye Editing Apps 2015 Me Bhi Best The! 2016 me bhi best The! Or 2017 Me Bhi Best Hai!

Ye Saare Video Editor Is Tarah Se Banaye Gaye Hai Jisse Aapka Android/Tablet Hang Na Ho 

Or Haa Me Aapke Jankari Ke Liye Bata Du Ki Ye Saare Video Editor Ka Istemal Me Khud Karta Hu 2015 Se.



Note:- Saare video editor ke download link unke naam ke samne hai




Viva video (click here) Best Video Editor 2017 #Hindi/Urdu



Agr Aap Soch Rahe Hai Ki Maine Kinemaster Ko Sabse Uper Kyu Nhi Rakha? To Me Aapko Bata Du Ki Kinemaster Se Jyada Setting Viva Video Me Hai Agr Rating Ki Baat Kare To Kinemaster Ko 2015 Me Viva Video Se Jyada Star Mile The Lekin 2017 Me Viva Video Ko Kinemaster Se Jyada Baar Download Bhi Kiya Gaya Hai Or Jyada Star Bhi Mile Hai



Viva video me kitne features hai?





  • viva video me bahut sari themes hai jo ki video editing ke liye sabse jaruri hai our isse apke video ki presentation acchi lagti hai



  • viva video me animated stickers hai jisse aap apni feelings dikha sakte ho



  • aapko viva video ke ander bahut saari editing karne ke liye settings mil jati hai


  • viva video ke ander aapko 30+ animated texts mil jate hai 


  • kai prakar ke fx hai jo video editing karne ke liye best hai


  • +more setting aapko bahut tarah ki setting mil jaati hai jisse aap apne video ko or better bana sake

Aapne Playstore Pr Reverse Naam Ka Ek Apk Dekha Hoga Jo Ki 38 Mb Ke Karib Ka Tha Us Video Editor Se Aap Sirf Video Ko Reverse Kar Sakte Hai

Video Ko Reverse Karna Bahut Majedaar Kaam Hai ''video reverse'' Karke Aap Apne Videos Me Magic Effects Daal Sakte Hai

Jaise Aapne Botal Phenkate Huye Ek Video Banayi Phir Aapne Us Video Ko Reverse Kar Diya, Revers Karne Ke Baad Aap jab Us Video Ko Dekhenge To Aapke Haath Me Ulta Botal Aa Rahi Hogi Jo Ki Ek Magic Effect Lagega Kisi Dusre Ko!*Aese Hi Bahut Saare Kamal Aap Video Ko Reverse Karke Kar Sakte Hai!



  • Agr Aap Soch Rahe Ho Ki Viva Video Me Reverse feature Hai-Ya-Nhi To Me Aapko Bata Du Ki Viva Video Me Reverse Feature Hai Jo Ki Bahut Kamal Ka Hai


  • Viva Video 36 Mb Ka Hai Vo Bhi Itne Saare Fitures Ke Sath


kinemaster (click here) Best Video Editor 2 #Hindi/Urdu



KineMaster Ko Mane 2 Number Pr Isliye Rakha Hai Kyuki Iski Rating Kam Ho Gayi Hai ''2017'' Me Lekin KineMaster Abhi Bhi Ek Best VideoEditor Hai Kyuki Iske Ander Jo Editing Hai Vo Aapko Bahut Kam Editor Me Milti Hai!


kinemaster ke features kya hai?




  • kine master me apko video layer mil jaata hai jo aapko or kisi video editor me nhi milega

  • apko isme bahut saari hd themes mil jati hai



  • video ke liye kaafi sare filtures hai

Ab Me Aapko Kinemaster ki Best Editing Effect Ke Baare Me Batane Wala Hu




chroma key:-


AGR Main Aapko Chroma Key Ke Baare Me Bataunga To Rukunga Nhi Kyuki Chroma Ki Ek high level Editing Hai Jiske Baare Me Batane Ke Liye Bahut Kutch Hai



  • chroma key ki madad se aap super hero Effects de sakte hai 


  • Aap Chahe To Chroma Key Ki Madad Se Video Me Gayab (invisible) effects bhi De Sakte Hai


Ye feature sirf computers ke liye tha lekin kinemaster ki wajah se aap iska istemal mobile me bhi kar sakte hai chroma key ek alg hi editing hai agr iska sahi istemal kiya jaaye to aapke video ko dekhker koi kahe nhi sakta hai ki ye phone ki editing hai




ji ha dosto chroma key hi vo effects hai jiske karan 2015 me or 2016 Me Kinemaster Number One video Editor tha agr aapko chroma key ke baare me jyada janna hai to me aapko suggest karunga ki youtube pr pata kare Kyuki chroma key esi editing hai jisse batana mushkil hai lekin dekhne me 1 second me samjh aa jaayegi




  • kinemaster me aap video ko chalate chalate apni voice bhi dal sakte hai jo ki youtubers ke liye accha hai


  • kinemaster me aap hd video export yani ki 720 1280×720p or 1920×1080p video export kar sakte hai jo ki or kisi editor se aap intna hd export nhi kar sakte


  • aap chahe to kinemaster ki madad se 1 minute ke video ko 1 gb me convert kar sakte hai hd video export youtuber ke kaam aata hai unke views badhte hai

  • kine master ''42 mb" ka hai



filmora (click here) Best Video Editor 3 #Hindi/Urdu



Filmora ko mane number 3 pe isliye rakha hai kyuki is me video ke liye achhi settings hai our playstore pr bhi iska rank bahut achha hai

filmora ke features kya hai?




  • video ke liye achhe transitions hai


  • Video ko crop kar sakte hai jo kisi or video editor me nhi hai


  • video me multi audio ya apni recording daal sakte ha

  • video ke liye Alg-Alg prakar ke filtures hai


  • apne video ko rotate kar sakte hai


  • filmora me bahut saare filtureshai+ overlays hai jo ki aap or bhi download  kar sakte hai


  • video ko adjust karne ke liye contranst+saturation+sharpnes+brightness+many more options hai

  • video me "subtitle add" karne ke sath unhe animation me bhi dikha sakte hai

  • video ke ander dusri photos ya audios "animated style"me show kara sakte hai


  • Hd Video export hai with no watermark


  • filmora me kafi Fx hai download karne ke liye


  • filmora ''34 mb'' ka hai



Power Directer (click here) Best Video Editor 4 #Hindi/Urdu



Power directer ko mane 4 number pr isliye rakha hai kyuki ye video editing karne ke liye achha hai or Iska look Bhi professional Hai

power directer ke features kya hai?




  • power directer sabse jyada mashoor fx ke liye hai power directer me aapko bahut saare fx mil jaate hai or download karne ke liye bhi power directer me bahut saare fx hai


  • video ke ander aap images add kar sakte hai


  • agr aapko apne video ke start me  text lagana achha lagta hai to power directer ka title bahut achha hai aap iska istemal karke apne video ko professinal look de sakte ho


  • aapko iske ander title sticker images fx download karne ka option mil jaata hai


  • hd video export hai


  • power directer ''34 mb'' ka hai



Quick (click here) Best Video Editor #Hindi/Urdu



quick ko mane 5 number pr isliye rakha hai kyuki iska istemal bahut saare logo ne trailer banane ke liye kiya hai agr aapko apne youtube ya phir or kisi cheez ke liye ek trailer banana hai to aap quick ka istemal kar sakte hai kyuki quick ko design hi trailer banane ke liye kiya gaya hai

quick ke feature kya hai?



  • quick ki jo sabse khas editing hai vo ye hai ki quick me bahut saare themes hai jisse video ko ek mast look mil jata hai



  • quick me 20+ themes hai



  • isme apne aap hi video ko transitions karne ki kabiliyat hai



  • video me aap multi audio add kar sakte hai



  • video or photos ko merge  kar sakte hai



  • Ye fully offline hai



  • bahut saare filtures bhi hai



  • title likhne ke sath achhe Fonts bhi hai



  • text stickers hai aap chahe to download  bhi kar sakte hai



  • No Watermark hai or iska size 81 mb ka hai

last words

Maine aapko kutch video editor bataye aapke android ke liye Ye Apps aage bhi Top par rahenge kyuki Inke Fitures kamal ke hai! mujhe pata hai aap saare apps to download nhi karenge lekin aap Viva Video or Kinemaster pkka download kariye Kyuki Ye dono best video editor hai 2017  Ke Liye


Video editing karna bahut achha kaam hai or phir kise pata ki hamme se kon video editing me bahut aage nikal jaaYe aapko to pata hi hoga ki aajkl chahe jo film ho chahe vo bollywood ho ya hollywood video editing ke bina sab adhure hai!


lekin hame paiso ke baare me kabhi nahi sochna chahiye hamara jo passion hai bas hame vohi kaam karna chahiye kyuki hamara passion hi hamara profit ban sakta hai or kutch bhi nhi


to aaj aapne best video editing softwares ke baare me Jana! Hindi/Urdu Me Aisi hi our cheeze janne ke liye mera fb page ho sake to like kariye or aapka koi sawal hai to jarur puchiye bhai ko khushi hogi madad karke


No comments:

Post a Comment