Sunday, October 15, 2017

Root kya hota hai, root kase kare


Root kya Hota hai
Root Kya Hota Hai!




Dosto Aapne root Ke Baare Me bahut Jagah Suna Hoga  Ya Dekha Hoga, Maine bahut Saari Websites Pr Dekha Hai Vaha Pr root Ke Baare Me Kutch Aesi Baate Hai Jo Unhone Galat Batai Hai, Aaj Main Aap ko root ki sachhai Bataunga Ki aakhir real me root kya hota hai?





Pahele Kutch Sawal Jo Log Karte Hai Root Ke Baare Mein Unhe Jaan Lete Hai?






  • root Kase karte hai? root ke fayde kya hai?
  • root kya hota hai? or iske nuksan kya hai
  • android root kya hota hai?
  • root karne ke liye best app konsa hai?
  • root asani se (simply) Kase kare?




Agr Aapka Bhi Sawal Kutch Aesa Hai To Aap Sahi Jagah Aaye Hai Kyuki Aaj Main Aapko Root Ke Baare Me Kutch unique Things Bataunga!




Aaj hum log Isi Ke Baare Me Janenge Lekin Pahele Main Aapko root Ke Baare Me Basic, Phir Fayde ,Aur Nuksan Bataunga Or Uske Baade Bataunga Ki apne android mobile ko root Kase karte hai?


1. Root Kya Hota Hai. What Is Root #Hindi/Urdu



1#•°•° Aap log android phone chalate hai kya kabhi aapne apne phone ke apps ko delet karne ki koshish ki Main Un Apps ki Baat Kar Raha Hu Jo Aapke Phone Ke Systems Mein Hai

2#°•°• Kya kabhi Aapne Apni Battery life Badhane Ki Koshish Ki

3#•°•° Kya Kabhi Aapne Apne Phone Ke Un Files Mein Jane Ki Koshish Ki jinke Baare Me Sayad Aapko Pata Bhi Nhi Hai



4#•°•° Kya Kabhi Aapko Kisi App Ne root Access Manga Hai Or Aap Use root Access Nhi De Paaye Or Aap Us App Ko Bhi Nhi Chala Paye




5#•°•° Kya Kabhi Aapne Apne Phone Se wifi hack Karne Ki Koshish Ki





Ye Vo Baate Hai Jo unroot Phone Nhi Kar Sakta Hai Matlab Ki Aapne Bhi Ye Sab Kabhi Nhi Kiya Hai!





Aakhir kyu hum ye sab kaam nhi kar sakte hai?





Ye Sab kaam sirf administration Kar Sakta Hai - administration Matlab Jisne Phone Ko Banaya Hai Usne Phone Ko Ek limit Di Hai Ki Phone Ye Kaam Kar Sakta Hai- or Ye Kaam Nhi!









Main Aapko simple Tarike Se Samjhata Hu

Samjh Lijiye Aapne Ek App Playstore Se Download Kiya Hai Or Ek Apk Aapke Phone ke System ka hai!


Aap Chahe To Vo App To Uninstall Kar Sakte Hai Jo Aapne playstore Se Download Kiya Hai! 



Lekin Vo App Ko Delet Nhi Kar Sakte Hai Jo Aapke Phone Ke System Ka App Hai!

kyuki administration Ne Jo App Phone Ke Ander Dale hai un apps ko delet karne Ki Permission Nhi di!




to kya hum vo system ke apps ko delet nhi kar sakte hai?




ab aati hai hamari main baat root kya hota hai dosto root ka kaam hai administration ki sari limit ko todna aap samjh rahe honge mai kya bol raha hu☺





Root Aapko Aesi access Deta Hai Ki Aapke phone Ko Lagta Hai Ki Aap Hi Uske Administration Ho Or Aap Chahe Jo Marji Kar Sakte Ho!






To dosto mere khyal se aap Pakka Samjh Gaye Honge ki Root Kya Hota Hai! Agr Aapko Kisi Tarah Ki Doubt Hai To Jarur Puchiye!






Ab baari aati hai root ke fayde or nuksan ki aapne ye to samjh liya ki root kya hota hai lekin hume root ke fayde or nuksan ke baare me bhi to pata hona chahiye!




kyuki agr hame root ke fayde or nuksan hi nhi pata honge to hum apne phone ko root kisliye karenge





Me aapko pahele nuksan ke baare me bataunga kyuki mane har website pr dekha hai ki vo log pahele fayde batate hai lekin jab vo nuksan batate hai to logo ka mann nhi karta hai root karne ka




Isiliye me aapko Pahele hi root ke nuksan ke baare me bata dena chahta hu jisse ki aap faisla kar sake ki apne android ko root karna hai ya nhi


2. Android Root ke kya nuksan hai. what is disadvantage of root #Hindi/urdu


  • jo root ke experts hai un logo ka kahena hai ki root se phone khrab ho sakta hai lekin mane apni life me jitne bhi phone root kiye hai unme se koi bhi khrab nhi hua hai

  • root karne se jo sabse bada nuksan hai vo ye hai ki aapke phone ki warranty khtm ho jaaegi (mane to warranty me hi apne mobile ko root kar diya tha☺)

  • jab apka phone root hoga or aapke paas software update ka option aayega to aap apna software update nhi kar sakte hai       agr aap update karna chahte hai to pahele apne phone ko  unroot karna hoga phir aap software update kar sakte hai (lekin meri maane to unroot karne ke baad phone restore kr dijiye phir software update kijiye restore karne ke baad dubara apna android phone root kar lijiye)

Ye ho Gaye nuksan ab root karne se kya kya fayde hote hai wo jaan lijiye

3. root ke kya-kya Fayde Hai. Android root advantages #Hindi/Urdu


  • phone ki hanging  bahut kam ho jaegi

  • phone ke ram ko  badha sakte hai (mann me laddu phoota)

  • battery life bhi achhi ho jaaegi

  • system ke un apps ko delet kr paoge jo pahele nhi kar sakte the





  • root ke kutch khaas apps hote hai jinka istemal aap apne phone ko root karne ke baad kar paenge (dosto root ke apps kamal ke hote hai aap soch bhi nhi sakte ki aap unke istmal se kya kya kar sakte hai 😊)






  • apne phone me saved wifi ke password dekh paaenge jo aapne hack kiye hai(jo phone unroot hota hai usme wifi ka password nhi dekh sakte)






  • Aap Our bhi bahut kutch kar sakte hai root karne me bhut fayda hai dosto👌




aap soch rahe honge  nuksan itne km or fayde itne jyada to haa ye sach hai

agr aapko lag raha hai ki root me koi jhol hai to me aapko bata du aisa kutch bhi nhi root karne se fayde jyada hai our nuksan km



abhi tak to aapne jana root kya hota hai our root ke fayde our nuksan kya hai ab hum janenge ki apne android phone ko root kase karte hai


root kase kare. How To Root Android Mobile #Hindi/Urdu





android mobile ko root Kase kare
Android mobile ko root Kase Kare?

Aapko In 3 Chijo Ki Jarurat Hogi Root Karne Ke Liye!





  • kingroot apk (click here)
  • internet
  • 60% prsent se jyada battery


Ab Main Aapko Root Karne Ki Process batana Wala Hu. Dhyan Se Padhiye!






  • ab simply kingroot ko open kijiye (aapka net connection on hona chahiye)






  • ab kingroot aapke device ko detect karega ab aapke pas aayega Root not found 






  • try to root pe click kijiye






  • root hote samay aapka phone hang hoga isiliye kisi our apk ko open mt kijiye root karte samay






  • 100% tak intezar karna hai aapko, bahut saare phone me aesa hota hai ki unka phone restart (reboot) ho jata hai agr aapka phone bhi restart ho jaaye to samjh lijiye root ho gaya hai






  • Ya phir ye bhi ho sakta hai ki 100% pura ho jaaye to bhi aap samjh sakte hai ki aapka phone root ho gaya hai




Agr apko check karna hai ki aapka phone root ho gaya hai ki nhi to aapko 2 app download karne padenge yaha se download kar lijiye (apk 1) (apk 2)


  • ab busybox ko open kariye phir thoda wait kijiye 
  • ab install pr click kijiye,Jab congratulations likha aaye to,


  • root checker open Kariye 
  • Ab verify root pr click kijiye, Agr Congratulations Likha Aaye To Samjh Jaiye Ki Aapka Android Mobile Root Ho Chuka Hai!

last words

Mere Khyal Se Aap Samjh Gaye Honge Ki:-
Root Kya Hota Hai, Android Mobile Ko Root Kase Karte Hai, Root Ke Fayde Aur Nuksan Kya Hai, Hamara Android Mobile Root Ho Chuka Hai Kaise Pata Kare? Agr Aapko In 4 Sawalo Ke Jawab Pata Chal Gaye To Meri Post Puri Huyi!

Agrr aapko kisi bhi tarah ki pareshani aaye to comment kijiye hume aapki madad karne me khushi hogi 

or haa, Aajtak To Aap Sirf Youtubers Ko Subscribe Karte The Lekin Aaj Hame Bhi Subscribe Kariye👍

No comments:

Post a Comment