Monday, October 23, 2017

PPSSPP Kya Hota Hai PSP Games Ko Android Mobile Me Kase Download Kare!

October 23, 2017 0
Aajtak Aap Logo Ne Sirf Play store Ke Games Khele Honge! Lekin Kya Kabhi Aapne Socha Hai Ki Play store Ko Chhodkar Our Bhi Bahut Achhe-Achhe Games Hote Hai, AGR Main Aapko Play store Ko Chhodkar,Kisi Our Achhe Games Ki Site Ya Apk Ke Baare Me Puchu To Aap Log Kya Kahenge? 



Sayad Aaplog Kahenge Ki Play store Ko Chhodkar To Sirf Computer Ke Hi Achhe Games Hote Hai, To Phir Chaliye Computer Games ko Hi Apne Android Mobile Me Chalate Hai!👉





Ji Ha Dosto Main Computer Games Ki Hi Baat Kar Raha Hu,Lekin Ye Sab Aapko Batane Se Pahele Main Aapko Ye Batana Chahta Hu Ki PSP Kya Hota Hai! Tabhi Aap Samjh Payenge Ki Computer Games Ko Apne Android Mobile Me Kase Play/Khel Sakte Hai-




PPSSPP Kya Hota Hai, "What Is PSP" Hindi/Urdu






Pahele Jab Computer Ka Zamana Tha Tab Ke Samay Main Log Sirf Computer Me Hi Game Khel Sakte The, Lekin Phir Badhte Samay Ke Sath Nayi Technology Aayi, Us Technology Me Aap Computer Ke Games Ko Apne Android Mobile Me Khel Sakte Hai Us Technology Ka Naam PSP Rakha Gaya!





ppsspp kya Hota hai, ppsspp games ko android mobile me Kase download kare




Psp Ko Bahut Sare Platforms Ke Liye Banaya Gaya, jaise- Windows,Linux,
BlackBerry,IOS,Android,Etc.


PSP Ka Hi Dusra Naam Emulator Hai
Mere Khyal Se Aap Samjh Gaye Honge- PSP Kya Hota Hai Lekin AGR Nhi Samjhe? To Image Ko Dekh Lijiye, Samjh Jayenge



ppsspp kya Hota hai






Aap Ye To Samjh Gaye Ki PSP Kya Hota Hai Lekin Main Aapko Ek Our Important Baat Batana Chahta Hu Ki PSP Game Nhi Hota Hai, 


Aap Soch Rahe Honge Ki PSP Game Nhi Hota Hai To Kya Hota Hai, 

Psp Emulator Hota Hai! Matlab Game Ko Chalane Wala, jaise aap phone Main bahut Sare apps Our Games ko chalate hai Vase Hi PSP Bhi Hota Hai! 

Our Simple Tarike Se Batau To Samjh Lijiye°•° Aapke Pas CD Player Hai Lekin AGR Aapke Pas Caset Hi Nhi Rahegi! To Aap Gane Nhi Chala Sakte, Thik Usi Tarah Se PSP Game Chalane Wala Hai, AGR Aapke Paas Game Nhi Honge To Aap Chalayenge Kya?


Ab Hamari Main Baat Aati Hai Yaani PSP Games Ki To Chaliye Iske Baare Me Jante Hai!




PSP Games Kya Hote Hai Our Unhe Apne Android Mobile Me Kase Khele! #Hindi/Urdu





ppsspp games ko android mobile me Kase download kare




Dosto PSP Games Ek ROM File Hoti Hai Jo Ki Hitech Computer Se Banaya Jata Hai,PSP Games Bahut Mb Ke Hote Hai, kaafi Saare games to GB Me Hote Hai, Lekin PSP Emulator Ko Is Tarah Banaya Gaya Hai ki PSP Games Khelte Vakt Aapka Mobile Hang Na Ho, Isse PSP Games Khelne Ka Maja Dugna Ho Jata Hai! PSP games Khelne Me Bahut Maja Aata  Hai AGR Aap Unhe Khelenge To Aap Uske Deewane Ho Jayenge!



Mere Khyal Se Ab Aap Janana Chahte Honge Ki PSP Games Ko Apne Android Mobile Mein Download Kase Karte Hai?

AGR Aap Yahi Soch Rahe Hai To Chaliye Ye Aapko Batata Hu!




PSP Games Android Mobile Me Kase Download Karte Hai! #Hindi/Urdu



PSP Games Aapko Apne Android Mobile Me Khelne Ke Liye,Ye Chije Chahiye Hongi.



1;- Internet (4g or 3g)
2;- Zarchiver, For Download (Click Here)
3;- PSP Emulator ( PSP Games Ko Chalane Ke Liye Aapko PPSSPP Emulator To Chahiye Hoga) (Click Here)


Dosto PSP Games Ko Download Karne Ke Liye Main Aapko Kutch Best Websites Ka Link Niche De Raha Hu!






In me Se Aap Jo Chahe Us Website Se PSP Games Download Kar Sakte Hai Lekin AGR Aap Android Mobile Se PSP Games Download Karna Chahate Hai To Coolrom Our Emuparadise Ka Istemal Kare

Chaliye Yaha PR Main PSP Ka Ek Games Step By Step Download Karke Dikhata Hu-





Step:- Coolrom Open Kariye
Step2:- Search Kariye, Dragon Ball z
Step3:- Ab aapke Paas Ek List Aayegi
Step4:- Scroll Down Kariye (Niche Ki Taraf Screen Kariye)
Step5:- Dragon Ball Z - Shin Budokai - Another Road PR Click Kariye
Step6:- Download Now PR Click Kariye!


Done! Aapka PSP Game Download Ho Chuka Hai,Lekin AGR Aap Soch Rahe Hai Ki Yahi PR Sara Step Khtam Ho Chuka Hai To Nahi, Main Aapko Bata Du Abhi To Aapne Game Download Kara Hai, Ab Use Chalaye Kase Ye Pata Karna Hai To Chaliye Jante Hai


  • * Zarchiver Open Kariye
  • * Us File Me Jaiye jaha PR Aapne PSP Game Download kara tha
  • * Game PR Click kariye
  • * Extract Here Pr Click Kariye



1# Ab Aapka Game Ban Chuka Hai! Isiliye PSP Emulator Open Kariye 
2# Jaha PR Aapne Game Extract Kara Hai Waha PR Jaiye
3# Aapko Game Ka Icon Dikh Jayega
Ab Aap Game Play Kar Sakte Hai




Dosto Yaha PR Maine Jo Game Bataya Hai Vo Mera Favourite Hai,AGR Aapko Achha Lage To Mujhe Comment Me Jarur Batana!


AGR Aapko Ye Pata Chal Gaya Hai Ki-
PPSSPP Kya Hota Hai, PSP Games Kya Hote Hai,PPSSPP Games Ko Apne Android Mobile Me Download Karke, Kase Khele! To Meri Aajki Post Puri Hui!


Agr Aapko Meri Ye Post Achhi Lagi To Subscribe Me Jakar Apna @Email daal dijiye, Isse Main Jab Bhi Koi Nayi Post Karunga To Aapke Mobile PR Automatic Aa Jayegi!


Or AGR Aapko Is Post Se Related Koi Bhi Problem Aa Rahi Hai, To Comment Kariye
Main Aapko Jaldi reply karunga! Or AGR Aap Chahte Hai Ki Main Psp Or Psp Games Ke Baare Me Or Post Write Karu To Comment Me Bataiye Ki Aapko PSP Games Kase Lagte Hai Our Ha Yrr Phir Bol Raha Hu, Subscribe Karo👈



Wednesday, October 18, 2017

Android Mobile Me Apni Typing Speed Kase Pata Kare

October 18, 2017 0
Hey Dosto Kase Hai Aap Log, Aaj Me Aapko Jo Batane Wala Hu Vo Badi Hi Interested Chij Hai, Kya Kabhi Aapne Apne Phone Me Apni Typing Speed Jannne Ki Koshsh Ki Hai, Kya Aap Ye Janna Chahte Hai Ki Aapki Typing Speed Tej Hai Ya Slow, AGR Aapka Jawab Hai ''Haa'' To Me Aapko Ye Trick Bataunga Aur AGR Aapka Jawab Hai ''Naa'' Tab bhi Main Aapko Ye Trick Bataunga☺ Ye Sab Batane Se Pahele Me Aapko Kutch Normal Chije Batana Chahta Hu To Chaliye Pahele Vo Jaan Lete Hai!







android mobile me Apni typing speed Kase Pata kare








Vase To Ye Trick Time Pass Ke Liye Hai Lekin Ye Aapke Liye Jaruri Bhi Ho Sakti Hai Kyuki  Is Trick Se Aap Apni Typig Speed Pata To Kar Hi Sakte Hai Sath Me Apne Dosto Ki Bhi Typing Speed Aapko Pata Chal Jayegi, Isse Aapko 2 Fayde Honge!





1#  AGR Aapka Friends Ya Or Koi Aapko Baar-Baar Ye Bolta Hai Ki Typing Jaldi Kiya Kar Ya Massage Jaldi Kiya Kar To Aap Ye Pata Kar Sakte Hai Ki Typing Speed Kisiki Tej Hai Isse Aapko Apne Dost Ki Sachhai Pata Chal Jaayegi 😀😁

2#  Aapko Ye Bhi Pata Chal Jayega Ki Kon Achha Typing Karta Hai Our Kon Bura, Aap Apne Dosto Ke Sath Competition Bhi Kar Sakte Ho!





To Chaliye, Bina Deri Kiye Aaj Ki Post Ko Suru Karte Hai!




Fast Typing


Mere Khyal Se Apni Typing Speed Janne Ke Liye Ye Apk Best Hai, Ye Apk Aapko 1 minute Ka time Deta Hai, 1minute Ke Ander Aap jitni Typing Kar Lenge Usse Hi Aapki Speed Ka Pata Chalega


  • *  Is Apk Ko Open Kijiye
  •  Play Ki Button Pr Click Kijiye
  • *  Ab Aapko 3 Options Dikhenge- easy,medium,hard! kyuki Aap Naye Hai To Aap Pahele Easy Kheliye
  • *  Ab Dosto Aapke Paas 2-3 Lines Likhi Huyi Aayegi, Aapko Vo Likhna Hoga Jo Lines Me Diya Hai! Yaad Rakhiye Dosto Aapko Sirf 1 Minute Ka Time Milega, Us 1 Minute Me Aap Jitna Typing Kar Loge, Usse Aapke Typing Ki Speed Pata Chalegi
  • *  Jaise Hi Aapka 1 Minute khtm Hoga, Aapke Samne Ek Pop-Up Aayega Usme Likha Hoga Aapki Typing Speed!
  • * For Download•••> (Click Here)



Agr Aapki Typing Speed 10 Se Upper Aayi to Aap Achhi Typing Kar Lete Ho, Lekin AGR Aapki Aapki Typing Speed 10 Se Kam Aayi To Aap Samjh Jana Ki Aapki Typing Speed Abhi Slow Hai!




Typing Test



Is Apk Me Bhi bilkul Vaisa Hi Hai, 1 Minute Ka Game! Lekin Aap Soch Rahe Honge Ki Ye Apk Bhi Vaisa Hi Hai To Iske Baare Me Batane Ki Kya Jarurat Thi? Dosto Ye Apk Us Apk Se thoda Different Hai, Kyuki Aap Is Apk Me Apni Progress Dekh Sakte Hai! aap Is Apk Me Ye Dekh Sakte Hai Ki Aap Dheere Dheere Progress Kar Rahe Hai Ya Phir Teji Se! Chaliye Is Apk Ke Baare Me Or Detail Se Jante Hai


  • * Apk Ko Open Kijiye
  • Test PR Click Kariye
  • *  Ab aapke Samne Ek Paragraph Aayega! usi ko Dekhker aap type Kariye
  • *  Jab Aapka Time Up Ho Jaayega To Aapko Apni Typing Speed Pata Chal Jayegi
  • *  For Download ••••> (Click here)


Dosto Jab Bhi Aap Apna Typing Test Karle, Uske Baad  Aap Apni Progress Check Kar Liya Kare, Isse Aapko Apne Typing Ke Baare Me Achhi Information Milegi!





Last Words For Read



Dosto Main Umeed Karta Hu Ki Aapko Meri Ye Post Pasand Aayi Hogi! Aaplog Apni Typing Speed Pata Karne Ke Baad Hame Bhi Apni Typing Speed Comments Main Bataiye, Our AGR Aap Hamari Har Nayi Post Apne Mobile PR Pana Chahte Hai To Hame Subscribe Kariye👋


Sunday, October 15, 2017

Root kya hota hai, root kase kare

October 15, 2017 0


Root kya Hota hai
Root Kya Hota Hai!




Dosto Aapne root Ke Baare Me bahut Jagah Suna Hoga  Ya Dekha Hoga, Maine bahut Saari Websites Pr Dekha Hai Vaha Pr root Ke Baare Me Kutch Aesi Baate Hai Jo Unhone Galat Batai Hai, Aaj Main Aap ko root ki sachhai Bataunga Ki aakhir real me root kya hota hai?





Pahele Kutch Sawal Jo Log Karte Hai Root Ke Baare Mein Unhe Jaan Lete Hai?






  • root Kase karte hai? root ke fayde kya hai?
  • root kya hota hai? or iske nuksan kya hai
  • android root kya hota hai?
  • root karne ke liye best app konsa hai?
  • root asani se (simply) Kase kare?




Agr Aapka Bhi Sawal Kutch Aesa Hai To Aap Sahi Jagah Aaye Hai Kyuki Aaj Main Aapko Root Ke Baare Me Kutch unique Things Bataunga!




Aaj hum log Isi Ke Baare Me Janenge Lekin Pahele Main Aapko root Ke Baare Me Basic, Phir Fayde ,Aur Nuksan Bataunga Or Uske Baade Bataunga Ki apne android mobile ko root Kase karte hai?


1. Root Kya Hota Hai. What Is Root #Hindi/Urdu



1#•°•° Aap log android phone chalate hai kya kabhi aapne apne phone ke apps ko delet karne ki koshish ki Main Un Apps ki Baat Kar Raha Hu Jo Aapke Phone Ke Systems Mein Hai

2#°•°• Kya kabhi Aapne Apni Battery life Badhane Ki Koshish Ki

3#•°•° Kya Kabhi Aapne Apne Phone Ke Un Files Mein Jane Ki Koshish Ki jinke Baare Me Sayad Aapko Pata Bhi Nhi Hai



4#•°•° Kya Kabhi Aapko Kisi App Ne root Access Manga Hai Or Aap Use root Access Nhi De Paaye Or Aap Us App Ko Bhi Nhi Chala Paye




5#•°•° Kya Kabhi Aapne Apne Phone Se wifi hack Karne Ki Koshish Ki





Ye Vo Baate Hai Jo unroot Phone Nhi Kar Sakta Hai Matlab Ki Aapne Bhi Ye Sab Kabhi Nhi Kiya Hai!





Aakhir kyu hum ye sab kaam nhi kar sakte hai?





Ye Sab kaam sirf administration Kar Sakta Hai - administration Matlab Jisne Phone Ko Banaya Hai Usne Phone Ko Ek limit Di Hai Ki Phone Ye Kaam Kar Sakta Hai- or Ye Kaam Nhi!









Main Aapko simple Tarike Se Samjhata Hu

Samjh Lijiye Aapne Ek App Playstore Se Download Kiya Hai Or Ek Apk Aapke Phone ke System ka hai!


Aap Chahe To Vo App To Uninstall Kar Sakte Hai Jo Aapne playstore Se Download Kiya Hai! 



Lekin Vo App Ko Delet Nhi Kar Sakte Hai Jo Aapke Phone Ke System Ka App Hai!

kyuki administration Ne Jo App Phone Ke Ander Dale hai un apps ko delet karne Ki Permission Nhi di!




to kya hum vo system ke apps ko delet nhi kar sakte hai?




ab aati hai hamari main baat root kya hota hai dosto root ka kaam hai administration ki sari limit ko todna aap samjh rahe honge mai kya bol raha hu☺





Root Aapko Aesi access Deta Hai Ki Aapke phone Ko Lagta Hai Ki Aap Hi Uske Administration Ho Or Aap Chahe Jo Marji Kar Sakte Ho!






To dosto mere khyal se aap Pakka Samjh Gaye Honge ki Root Kya Hota Hai! Agr Aapko Kisi Tarah Ki Doubt Hai To Jarur Puchiye!






Ab baari aati hai root ke fayde or nuksan ki aapne ye to samjh liya ki root kya hota hai lekin hume root ke fayde or nuksan ke baare me bhi to pata hona chahiye!




kyuki agr hame root ke fayde or nuksan hi nhi pata honge to hum apne phone ko root kisliye karenge





Me aapko pahele nuksan ke baare me bataunga kyuki mane har website pr dekha hai ki vo log pahele fayde batate hai lekin jab vo nuksan batate hai to logo ka mann nhi karta hai root karne ka




Isiliye me aapko Pahele hi root ke nuksan ke baare me bata dena chahta hu jisse ki aap faisla kar sake ki apne android ko root karna hai ya nhi


2. Android Root ke kya nuksan hai. what is disadvantage of root #Hindi/urdu


  • jo root ke experts hai un logo ka kahena hai ki root se phone khrab ho sakta hai lekin mane apni life me jitne bhi phone root kiye hai unme se koi bhi khrab nhi hua hai

  • root karne se jo sabse bada nuksan hai vo ye hai ki aapke phone ki warranty khtm ho jaaegi (mane to warranty me hi apne mobile ko root kar diya tha☺)

  • jab apka phone root hoga or aapke paas software update ka option aayega to aap apna software update nhi kar sakte hai       agr aap update karna chahte hai to pahele apne phone ko  unroot karna hoga phir aap software update kar sakte hai (lekin meri maane to unroot karne ke baad phone restore kr dijiye phir software update kijiye restore karne ke baad dubara apna android phone root kar lijiye)

Ye ho Gaye nuksan ab root karne se kya kya fayde hote hai wo jaan lijiye

3. root ke kya-kya Fayde Hai. Android root advantages #Hindi/Urdu


  • phone ki hanging  bahut kam ho jaegi

  • phone ke ram ko  badha sakte hai (mann me laddu phoota)

  • battery life bhi achhi ho jaaegi

  • system ke un apps ko delet kr paoge jo pahele nhi kar sakte the





  • root ke kutch khaas apps hote hai jinka istemal aap apne phone ko root karne ke baad kar paenge (dosto root ke apps kamal ke hote hai aap soch bhi nhi sakte ki aap unke istmal se kya kya kar sakte hai 😊)






  • apne phone me saved wifi ke password dekh paaenge jo aapne hack kiye hai(jo phone unroot hota hai usme wifi ka password nhi dekh sakte)






  • Aap Our bhi bahut kutch kar sakte hai root karne me bhut fayda hai dosto👌




aap soch rahe honge  nuksan itne km or fayde itne jyada to haa ye sach hai

agr aapko lag raha hai ki root me koi jhol hai to me aapko bata du aisa kutch bhi nhi root karne se fayde jyada hai our nuksan km



abhi tak to aapne jana root kya hota hai our root ke fayde our nuksan kya hai ab hum janenge ki apne android phone ko root kase karte hai


root kase kare. How To Root Android Mobile #Hindi/Urdu





android mobile ko root Kase kare
Android mobile ko root Kase Kare?

Aapko In 3 Chijo Ki Jarurat Hogi Root Karne Ke Liye!





  • kingroot apk (click here)
  • internet
  • 60% prsent se jyada battery


Ab Main Aapko Root Karne Ki Process batana Wala Hu. Dhyan Se Padhiye!






  • ab simply kingroot ko open kijiye (aapka net connection on hona chahiye)






  • ab kingroot aapke device ko detect karega ab aapke pas aayega Root not found 






  • try to root pe click kijiye






  • root hote samay aapka phone hang hoga isiliye kisi our apk ko open mt kijiye root karte samay






  • 100% tak intezar karna hai aapko, bahut saare phone me aesa hota hai ki unka phone restart (reboot) ho jata hai agr aapka phone bhi restart ho jaaye to samjh lijiye root ho gaya hai






  • Ya phir ye bhi ho sakta hai ki 100% pura ho jaaye to bhi aap samjh sakte hai ki aapka phone root ho gaya hai




Agr apko check karna hai ki aapka phone root ho gaya hai ki nhi to aapko 2 app download karne padenge yaha se download kar lijiye (apk 1) (apk 2)


  • ab busybox ko open kariye phir thoda wait kijiye 
  • ab install pr click kijiye,Jab congratulations likha aaye to,


  • root checker open Kariye 
  • Ab verify root pr click kijiye, Agr Congratulations Likha Aaye To Samjh Jaiye Ki Aapka Android Mobile Root Ho Chuka Hai!

last words

Mere Khyal Se Aap Samjh Gaye Honge Ki:-
Root Kya Hota Hai, Android Mobile Ko Root Kase Karte Hai, Root Ke Fayde Aur Nuksan Kya Hai, Hamara Android Mobile Root Ho Chuka Hai Kaise Pata Kare? Agr Aapko In 4 Sawalo Ke Jawab Pata Chal Gaye To Meri Post Puri Huyi!

Agrr aapko kisi bhi tarah ki pareshani aaye to comment kijiye hume aapki madad karne me khushi hogi 

or haa, Aajtak To Aap Sirf Youtubers Ko Subscribe Karte The Lekin Aaj Hame Bhi Subscribe Kariye👍

Thursday, October 5, 2017

How To Make A Text Animation Video In Android #Hindi/Urdu

October 05, 2017 7
Hey Guys💐 Whatsapp•°•°



Aaj Main Aap Logo Ko Ek Intresting Thing Ke Baare Me Bataunga, To Chaliye Suru Karte Hai!





What Is Text Animation #Hindi/Urdu



Jab Aap Kisi YouTube Channel Ki Video Ko Dekhte Hai, To Suru Me Ek Presentation Hoti Hai, Us Presentation Mein Uski Details Hoti Hai Jisne Vo Video Banaya Hai, Ye Bilkul Us Tarah Hai:- Jab Film Chalu Hoti Hai Tab Jaise Suru Me Hero-Heroine Ka Naam Aata Hai, Usi Tarah Se Aap Apne Video Me Bhi Apni Details Daal Sakte Hai,Jisse Aapka Channel Promote Hota Hai Our Is Baat Ka Bhi Chance Hota Hai Ki Aapke Channel Par Dubara WO Log Aaye! Jinhone Aapka Video Dekha Tha, Kyuki Un Logo Ko Aapke Channel Kaa Naam Yaad Hoga, Jisse Aapka Fayda Hi Hoga!



Vase To Aap Iska Kayi Tarike Se Istemal Kar Sakte Hai, Jaise Ki Aap Apna Khud Ka Watermark Bhi Bana Sakte Hai, Apna Logo Bana Sakte Hai, Our Bhi Bahut Chize Kar Sakte Hai!





Main Aapko Kutch apps Ke Baare Me Bataunga Jisse Aap Ye Kaam Kar Sakte Hai Aur Sath Me Main Aapko Un Apps Ke Features Bhi Bataunga Jisse Aap Apne Man Pasand Texts animations apps Download kar Sake!













Legend #Hindi/Urdu



Ye Apk Chalana Bahut Hi simple Hai Is Apk Ka Istemal Bahut Saare Youtubers karte Hai! Vo Log Isse Apna Ek Tarah Ka watermark Jaisaa Istemal Karte Hai Jisse Jab Koi Unke Channel Par Aata Hai To Aasani Se Use Channel Ke Naam Ke Baare Me Pata Chal Jata hai!

Legend Ke Features kya hai?





  • * Many Animations:- Is Apk Ke Ander Bahut Saare Animations Hai Jo Ki Alg- Alg Prakar Ke Hai Or Dekhne Me Bhi Kafi attractive Hai


  • * colours:- Video Animation Ke Sath Aap Chahe To Apne text Ko background colour Bhi de sakte hai Vo Bhi Bahut Saare!



  • * Hd Export:- Bahut Sare Text Animators Apps Ke Ander Hd Export Karne Ka Feature Nhi Hota Hai Lekin Legend Ke Ander Aap 720p Tak Hd Export Kar Sakte Hai


  • * Background Image:- Agr Aapke Paas Koi Khaas Image Hai, Jiska Istemal Aap Apne Text Animation Ke Background Mein Karna Chahte Hai, To Is Apk Se Aap Ye Kar Sakte Hai



How to make text animation video
How To Make A Text Animation Video





Viva Video



Sayad Aap Viva Video Ke Baare Me Jante Honge, Lekin Kya Aap Ye Jante Hai Ki Viva Video Text Animation Video Bhi Banata Hai, Or Viva Video, Video Editing Ke World Me Sabse Best Software Hai, Isko Aap Apne Android Mobile Me Download Karke Bahut Achhi Text Animation Video Bana Sakte Hai, Viva Video Ke Kutch Features Ke Baare Me Main Aapko Batata Hu Chaliye-->






  • * Fonts:- Viva Video Me Aapko Bahut Saare Fonts Mil Jaayenge, Jo Ki Dekhne Me Aakrshak Hai




  • * Colour:- Viva Video Me Aap Text Ko Colour Kar Sakte Hai, Jo Ki Bahut Saare Hai




  • * Background:- Aap Text Ko Background Look De Sakte Hai, Iske Liye Viva Video Me Bahut Saare Background Png's Hai Jise Aap Download Bhi Kar Sakte Hai



  • * Features:- Viva Video Me Text Ko Styles And Achha Look Dene Ke Bahut Saare Features Hai



Text animation video maker
Text animation video maker





Quick #Hindi/Urdu




Quick Ek Bahut Hi Achha Apk Hai Use Khastor Par Themes Aur Texts Ke Liye Hi Banaya Gaya Hai, Is Apk Ke Baare Me Main Pahele Bhi Post Likh Chuka Hu, Aap Is Apk Ki Madad Se Presentation Or Trailer Bhi Bana Sakte Hai Aur Vo Bhi Badi Aasani Se

Chaliye Main Aapko Quick Ke Kutch Features Batata Hu.👇





  • * Best Themes:- Iske Ander Professional Themes hai, Jisse Aapke Text Ke Sath-Sath Video Bhi Achhi Lagega

  • * Many Filtures:- Is me Bahut Saare Filtures Bhi Hai, Jisse Aap Apne To Text Ko Filture Karke Our Chamka Sake


  • * Many Fonts:- AGR Aap Apne Text Ke Style Ko Achha Look dena Chahte Hai To quick Se Badhiye Koi Nhi! Kyuki Quick Ke Ander Bahut Saare Fonts Hai

  • * Many Themes:- Isme  20+ Themes Hai Jo ki Bahut Attractive hai, Our In Themes Ka Istemal Aap Apne Text Animation Video Me Kar Sakte Hai

  • * Sound Effects:- Is apk Ke Ander Aapko Bahut Saare Sound Effects Mil Jayenge



How To Add Text Animation In Video
How To Add Text Animation In Video




Kinemaster #Hindi/Urdu


Kinemaster Se Aap Text Ko Animations Style Me To Dikha Hi Sakte Hai, Sath Me Use Tarah- Tarah Ke LOOK De Sakte Hai, Our Bhi Isme Bahut Saare Features Hai, To Deri Kasi Chaliye Jante Hai






  • * Text Animation:- Aap Soch Rahe Honge Ki Text Animation To Har Video Editor Me Hota Hai, To Isme Khaas Kya Hai, To Main Aapko Bata Du Ki, Kinemaster Me Aap Bahut Saare Animation Ka Istemal Kar Sakte Hai, Jisse Aap Apne Video Ko Har Baar Naya Look De Sakte Hai



  • * Out Animation:- Ab Aapke Man Me Ye Sawal Aaya Hoga Ki Out Animation Kya Hota Hai, To Main Aapko Batata Hu, Jab Aap Apna Text Bana Lenge, Phir Uske Baad Aapka Text kis Tarah End Hota Hai Use Kahete Hai Out Animation, Kyuki Text Suru Me Kis Animation Ke Sath Aata Hai, Our Aakhri Me Kis Animation Ke Sath Jata Hai, Ye Baat Editing Me Kaafi Maayne Rakhti Hai!



  • * Overall Animation:- Ab Phir Se Aap Soch Rahe Honge Ki Overall Animation Kya Hota Hai? Chaliye Phir Se Main Aapko Batata Hu, Overall Animation Se Aap Apne Text Ko Ek Alg Hi Look De Sakte Hai, Is Editing Me Aapka Text Bahut Hi Alg Tarah Se Present Hoga, Jo Our Kisi Video Editor Me Nhi Hota, Is Editing Ko Aap Dekh Kar Achhe Se Samjh Sakte Hai




  • * Many More:- Maine Aapko Abhi Tak Kinemaster Ke Best Text Animations Ke Baare Me Bataya, Isko Chhod Kar Kinemaster Me Bahut Saari Choti-Choti Settings Hai Jaise Text Capacity, Text Colour, Text Outline, Background Colour, Text Glow Etc. 







Animated Text Logo Maker
Animated Text Logo Maker



Hope Aapko Ye Post Achhi Lagi Hogi, At least Kutch Apps Ko Jarur Try Karke Dekhiye, Our Apna Text Animation Video Make Kariye, Mujhe Comments Me Bataiye Ki Aapko Ye Post Kasi Lagi! AGR Aapko Kisi Apk Ke Baare Me Puchna Hai To Comments Se Aap Puch Sakte Hai•-•