Hello friends aaj hum ek jaruri cheez ke baare me baat karne wale hai? ji haa aaj hum baat karenge ki Kase hum apne android mobile ka ram badha sakte hai agr aapne pahele bhi kisi website pr jaakar ram kase badhaye ya phir ram ko kase badha sakte hai? Ye sab padha hai to aapko pata chal hi gaya hoga ki kitna asar padhta hai lekin agr aap meri is post ko padhenge to aapko ekdm sahi Jankari Milegi ki kase hum apne android mobile ka ram badha sakte hai lekin isse Pahele me aapko Iski kutch basic bataunga jisse aapko ekdm Achhe se samjh me aa jaaye ki aakhir ram kya hota hai? ram kase work karta hai Phir main aapko bataunga ki ram ko badhane ka sabse achha tarika kya hai etc. to chaliye jante hai
1.Android ram kya hota hai? what is android ram
Dosto Pahele main aapko bata du ki hamare mobile me 2 prakar ki memory hai? ek to internal memory our dusra ram, internal memory me hum log videos movies games etc. rakhte hai! lekin ram ke ander hum log apps rakhte hai.
Simply Batau To Pahele>> Hum Kisi Se Apps Lete Hai Ya Download Karte Hai>> Phir vo apk hamare phone ya memory card me aata hai>>phir hum use install karte hai>> install karne ke baad vo ram me chala jaata hai agr vo apk ya game ram me nhi jaayega to hum uska istemal nhi kar payenge, to aap samjh gaye honge ki ram kya hota hai, jis tarah se ram mobile me kaam karta hai usi tarah se ram computer iphone etc. me bhi kaam karta hai! Yaha tak to aapne jana ram kya hota hai our ye kaise work karta hai ab hum log janenge ki kaise apne android mobile ke ram ko badha sakte hai to chaliye jante hai.
2.ram kase badhaye? How to increase ram
Is trick ko batane se pahele main aapko batana chahta hu ki agr aap is post ko kisi our website pr Padhenge to aapko un website me paid apk download karne ke liye kaha jata hai lekin aapke paas itne pase nhi hote hai ki aap paid apk ko kharid sako isiliye me aapko apni site pr har aesi cheez batata hu jisse aapka kaam achha bhi ho our free bhi! to chaliye ram expender ki trick ko jante hai}
- first blackmart download kariye (click here)
- open kariye
- option ki button pr click kariye
- sort mode pr click kariye
- filture pr click kijiye
- filture ko paid kar dijiye
- ab search kariye ram expender
- ab ram expender ko download kar lijiye
Yaha tak to Aapne jana ki ram expender ko kase download kar sakte hai lekin ab hum janenge ki kase hum ram ko badha sakte hai
- ram expender ko open kijiye
- root grant dijiye
- ab aapko kitna ram badhana hai Ye Sochiye
- agr aapne soch liya to jaha par 512 mb likha hai usper click kariye
- ab aapko jitna ram badhana hai utna type kar lijiye
- phir aapko sabse top pr ek button dikhega jo ki sabse bada hoga usper click kariye
- ab aapko option mangega ki aapko kaha pr ram badhana hai agr aap phone me ram badhana chahte hai to phone pr click kariye agr aap memory card me ram badhana chahte hai to cd card pr click kijiye
- Ab Ek Option Aayega Usper Ok kar dijiye
- dubara se top wali button pr click kariye
- done! aapka ram badhna chalu ho gya hai
Notes:-
1.} dosto kisi-kisi phone me jab ram expender on hota hai to unsupported aa jata hai iska karan Yah nhi hota hai ki unke phone me ram expender support nhi karega balki unko first time jab vo ram expender ko open kare to unko apne mobile ka net on rakhna chahiye jisse ram expender unke phone me on ho jaaye
2.} jab aap apna ram badhaye to swap file ko aesi jagah pr rakhe jaha pr storage ho nhi to aapka ram nhi badhega
3.} Agr aapne sabkuch kara hai our aapko apna ram badha hua nhi dikh raha to me aapko bata du ki aapka ram badh gaya hai lekin vo hide hai isiliye vo aapko nhi dikh raha hai
3.android ram ko kase badhaye? How to increase android ram
is trick me main aapko basic chije bataunga jisse ki aap apne mobile ka ram badha sakte hai! kyuki kabhi kabhi aapke mobile me ase bahut saare apps games viruses hote hai jinka aapko nhi pata hota hai jiske karan aapke mobile me virus to hota hi hai sath me aapka ram bhi kam ho jaata hai main aapko tips dunga jisse aap apne mobile ka ram badha sakte hai
- Samay-samay pr apni android ki file ko delet kariye kyuki sabse jyada virus android ki file me hi hota hai
- aapke mobile mein jitne bhi apps hai unka clear data time pr kariye khasker facebook or whatsapp ka Kyuki Aapka Sabse Jyada Ram Yahi Apk Khate Hai
- jab aap koi apk ya game install karte hai to dhyan rakhiye ki vo cd card me install ho agr aap mobile me install karenge to aapka jyada ram jaega
- phone ki memory ko khali rakhne ki koshish kijiye isse aapke ram par kaafi asar padega our jydatar chije memory card me rakhiye
- apne mobile ki bekar files ko our hidden file ko delet kariye, kyuki ram ko Kam Karne me choti-choti files ka bada hath hota hai
- un apps ko delet kariye jo aapke mobile me faltu ke hai isse aapka ram bhi badhega our bekar apps bhi delet ho jaaenge
4.mobile me ram kase badhaye? How to increase ram in mobile
Is trick ko batane se pahele me aapko ek jaruri chij batata hu ki jab aap apne mobile me apps install karte hai to aapka app phone me jaata hai jisse aapki 25% mobile ki internal storage bhi jaati hai agr aap app ko apne memory card me install karenge to
aapka jyada faida hoga lekin kutch logo ke mobile me aesa option nhi hota isiliye me ye option laya hu to chaliye ise jante hai!
- Pahele Ye apk download kariye (click here)
- open kariye
- root ka grant dijiye
- ab aapko jis apk ko cd card me install karna hai usper click kijiye
- scroll down kariye
- move to cd card pr click kijiye
- ab aapka apk memory card me install ho chuka hai!
5.ram badhaye! Increase ram
Is trick me main aapko ram badhane ki trick nhi bataunga balki Ye bataunga ki kase aapke mobile ka ram badh nhi pata hai aesi konsi galti hai ram badhane me jo aap hamesha karte hai chaliye jante hai
1# fisrt jo sabse badi galti hai jo log karte hai vo ye hai ki apne mobile me ram storage increase karne wale apps rakhte hai jaise ki 360 security clean master etc. Ye sab apps bas aapke mobile ke storage our ram ko badhate hai our kutch nhi agr aapko lagta hai ki ye aapke phone se virus nikalte hai to ye aapki sabse badi galti hai kyuki in apps ko ye bhi nhi pata hota hai ki virus hota kya hai agr aapko meri baat ka vishvas nhi aaya to aap ek baar inka istemal karke apne mobile ka virus nikaliye aapko pata chal jaega kitna virus nikla hai our kitna aapke mobile ke apps videos our songs
2# Agr aap vidmate ka istemal karte hai to main aapko bata du ki vidmate me bhi bahut virus hote hai lekin aap bas vidmate ke viruses ko delet kijiye vidmate ko nhi kyuki vidmate bahut achha apk hai lekin vidmate ki sabse badi pareshani ye hai ki usme virus bahut jaldi banta hai isiliye time to time vidmate ko check kariye our jo virus hai unko delet kariye
3# kabhi bhi dusre apps pr yakin mat kariye ki ye aapke ram ko boost karenge ya apki storage badhayenge jo karna hai aapko khud hi karna hoga
4# apne mobile ko hafte me ek baar jarur reboot kijiye kyuki aapka mobile us ek hafte me kaafi kutch catch kar leta jo hide hota hai use rokne ke liye hafte me km se km ek baar jarur reboot kariye isse aapka mobile ka ram bhi increase hoga
5# apne mobile me jyada apps install karke mat rakhiye kyuki phone me ek limit hoti hai agr aapne vo limit todi to aapka ram to ghatega hi sath me hanging problem bhi aayegi aapne bade phones me bhi dekha hoga ki log jyada apps nhi rakhte hai kyuki agr aap apne mobile me jyada apps rakhte hai to aapka mobile pakka hang hoga agr aap jyda apps rakhna chahte hai to use phone ki internal memory ya phir cd card me rakhiye jab aapka mann ho to aap use install kar lijiye phir istemal karke dubara uninstall kar dijiye
{Is trick me maine jin apps ke baare me bataya hai vo sab sach hai Our Maine Kisi Our Karan Se Aesa Nahi Kiya Hai }
Ye bhi Padhe:-Paid apps ko free me kase download kare
Last important words
Ram Kya Hota Hai, Or Ye Kis Tarah Work Karta Hai, Or Ram Ko Kase Badha Sakte Hai, Ye Saari Baate Maine Aapko Batai Lekin Maine Apni Kutch trick Me root ka Istemal Kiya Hai Lekin agr Aap Nhi Jante Hai Ki Root Kya Hota Hai To Aap Yaha Se Iske Baare Me Pata Kijiye:-root kya hota hai?
Or Agr Aapko Kisi Bhi trick Me Problem Aa Rahi Hai To Comment Kijiye Hum Aapki Karne Ki Puri Koshish Karenge😊

No comments:
Post a Comment