![]() |
Best Multiplayer Games Offline,online |
Hum Logo Ke Paas Hamesha Net Nhi Hota Hai Online Game Khelne Ka, Or Agr Hamare Paas Net Hota Bhi Hai To Facebook,whatsapp,instagram, etc.
Chalane Ka Hota Hai Aese Me Hum Log Apna net online game Khelne Me Nhi
Kar Sakte Hai....
Lekin Hame Game To Khelna Hai! Isiliye Main Aaj Aap Sabke Liye top 5 best multiplayer games laya hu! Dosto In Games Me Khaas Baat Kya Hai? Ye Main Aapko Batata Hu Line By Line:-
1} In Games Ko Aap Offline Bhi Khel Sakte Hai Aur Online Bhi, Jab Aapke Paas Jyada Net Rahega To Aap Online Khel Sakte Hai Or Jab Aapke Paas Net Nhi Rahega Tab Offline Khel Sakte Hai!
2} Aapke Man Me Ye Sawal Jarurat Aaya Hoga Ki In Game Ko Offline To Khel Sakte
Hai Lekin Offline Khelne Ke Liye methods Kya Hai?•°•° In Games Ko Aap wifi hotspot Bluetooth etc. Ke Jariye Apne Dost Ke Mobile Me Connect Karke Khel Sakte Hai!
3} Maine Koshis Kari Hai Ki Me Aapko Aese Games Provide Karu Jo side me Km Ho Jaise, 50mb, 45mb, 6mb, etc. Lekin Mane Jitne Bhi Games Diye Hai Unme Se Ek Ka Size Thoda jyada Hai *Lekin Baaki Sab small mb ke Hai!
To chaliye Get ready!
Best multiplayers Games offline Online #Hindi
mini militia
Mini Militia Abhi Tak Ka Best Ka Bhi Best Hai Kyuki Ye Military Ka Game Hai Jisme Aap Ladai Kar Sakte Hai! Isme Bahut Saari Banduke Hai, Aap Chahe To Isme Akele Bhi Khel Sakte Hai, Isme Aap training Bhi Kar Sakte Hai•°• Is Game Ke Andr 16 Multiplayer tak Khel Sakte Hai! Aur Is Game Ka Craz Playstore Par Bhi Badhta Jaa raha Hai, Aapko Bhi Ye Game Jarur Khelna Chahiye😊 Ye Game Jyada Mb Ka Nhi Bas 46 Mb Ka Hai!
download karne ke liye (click here)
Bomb Squad
Ye Game Dusre Number Pr Isliye Hai Kyuki Isme Bahut Sare Levels Hai, Ye Game Bhi Ladai Karne Ka Hai! Isme Alg-Alg Prakar Ke Bombs Hai, Is Ek Game Me Aap- Fighting, Racing, Flying, Basket Ball etc. Khel Sakte Hai Vo Bhi Apne Dosto Ke Sath To Aap samjh sakte hai Ki Ye Game Kitna Amazing Hai Is Game Ka Size 45 Mb Ka Hai Itne Saare features Hone Ke Baad bhi👌
download karne ke liye (click here)
Duel
Duel Kamal Ka Game Hai Isme Aapko Apne Friend Ke Phone Me Dekhker, Nishana Lagana Padta Hai, Is Game Ko Connect Karne Ke 2 Methods Hai Ek To Aap Ise wifi hotspots Se Connect Kar Sakte Hai Dusra Aap Chahe To Ise Bluetooth Se Bhi connect Kar Sakte Hai iska size '6mb' Ka Hai
Neo shadow
Ye Ek war Game Hai, Isme fighting Bhi Hai Is Game Me Bahut Kutch Hai Jiski Vajah Se Iska Size Thoda Jyada Hai-or ''200mb''
Download karne ke liye (click here)
Badland
Ye ek side-scrolling game hai Ye 3 dosto ka games hain Lekin isse bina kisi other phone me connect kiye bina bhi 3 log Khel Sakte Hai, Is Wale Game Ka Bhi Size Thoda Bada Hai (200 Mb) Lekin Is Game Me Maja Bahut Aata hai Isi wajah Se Ye Mere Top 5 List Par Hai!
Download karne ke liye (click here)
Yaha Par Hamare Best Multiplayer Games Ki List Puri Huyi, Mujhe Umeed Hai Ki Aapko Isme Maja Aaya Hoga! Agr Aapko Kahi Par Kisi Bhi Tarah Ki Problem Aa Rahi Hai To Aap Mujhe Comment Me Bataiye!
Aur Agr Aapko Aur Kisi Multiplayer Game Ke Baare Me Kutch Pata Ho, To Vo Bhi Hame Comment Me Bataiye! Jisse Hame Aur Hamare Dosto Ko Kutch Naya Pata Chal Sake|👍
No comments:
Post a Comment